He Hamare Pita
Tu jo swarg mein hain
Tera naam paak maana jaye
Teri baadshahath aye
He Hamare Pita
Jaisi teri marzi
Swarg mein puri hoti
Vaisi hi teri marzi
Jagat mein puri ho
Rozi roti hamari
Aaj tu humko dede
Jeevan roti tu hain
Tu hi hamara bal hain
Jis tarah hum apne
Apradhi ko maaf karte
Ussi tarah tu hamare
Apradh ko maaf karde
He Hamare Pita
Kyonki teri baadshahath
Taakat aur mahima
Abhi hain aur sada
Sada hi rahegi
He Hamare Pita
Tu jo swarg mein hain
Tera naam paak maana jaye
Teri baadshahath aye
He Hamare Pita
No comments:
Post a Comment